Yaa rab hujum-e-dard ko de aur wus-ateiN
daaman to kya abhi meri aankheN bhi nam nahiN
Dil Ko Manana aGar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
Yun zindagi guzaar raha hun tere baghair
jaise koi gunah kiye jaa raha hun maiN
Jab Dour Ho To Mera,
Tasavvur Na Chorna Aye Dost!!!
Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch
le Mushkil Bahut Hai,
Rishton Ki Zanjeerain hain Torna
Hum ko jo chahe naasaih keh lo
kuch na khena un se khuda ke liye
main shayar to nahi….
magar ae haseen…
jab se dekha.. maine tujhko
mojhko shayari aa gayi
log kaato se bachkar chalte hai aur hum
hai jinhone phulose chot khaye hai
Woh kab aaye bhi aur gaye bhi, nazar mein ab tak sama rahe hain
yeh chal rahe hain, woh phir rahe hain, yeh aa rahe hain, wo jaa rahe hain
phool khilte nahi
khusboo unhe khilati hai
ladke bigadte nahi
ladkiya bigadti hai
Yeh kya muqam-e-ishq hai zaalim keh in dinon
aksar tere bagair bhi aaram ho gaya
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
Related posts: