Bewafa Urdu Shayari – Urdu Shayari Text

Ibteda woh thi keh jeena tha mohabbat mein mohal
inteha yeh hai keh ab marna bhi mushkil ho gaya

Yeh dil ke zakhm nahin, Jigar ke daagh hain
rah-e-hayaat mein shama jala raha hai koi

Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..
Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha…..

Dekh zindaaN ke pare, rang-e-chaman josh-e-bahaar,
raq’s karna hai to phir paon ki zanjeer na dekh

Rok sakta hameiN zidaan-e-balaa kya hai Majrooh
hum to aawaz haiN deewaroN se chan jaate hain

os sy juda to ho gaya per un laga mujhy
jesy jahan main koi apna nahin raha
wo bewafa nahin mager itna zaroor hai
pehly wo jis terha ka tha ab wesa nahi raha

Muntazir haiN phir mere hadse zamaaane ke
phir mera junuN teri bazm mein ghazal khuwaN hai

Yeh niyaaz-e-gham khuwari yeh shikast-e-dildaari
bus nawazish-e-jaanaaN dilbahut pareshaaN hai

guzry dinon ki bhuli hui bat ki tarha
ankhon main jagta hai koi rat ki tarha
os se umeed thi k nabhaye ga sath
magar wo b badal gya mery halaat ki tarha

Dehar meiN majrooh koi jaavedaaN mazmooN kahaN
maiN jise choota gaya woh jaavedaaN banta gaya

Related posts:

  1. Bewafa Shayari In Urdu – Free Bewafa Shayari Sms
  2. Cute Funny Urdu Shayari – Urdu Shayari Text Sms
  3. Dardbhari Bewafa Urdu Shayari – Free Bewafa Shayari In Urdu
  4. Dard Hindi Bewafa Shayari – Hindi Bewafa Shayari Text Sms
  5. Sad Bewafa Urdu Shayari – Free Shayari Text Sms
  6. Romantic Funny Shayari In Urdu – Urdu Shayari Text Messages
  7. Love Hindi Bewafa Shayari – Free Hindi Bewafa Shayari Sms
  8. Free Bewafa Shayari Sms – Shayari Text Messages
  9. Free Sad Urdu Shayari – Sad Urdu Text
  10. Funny Urdu Shayari Sms – Urdu Shayari Text Messages

Leave a Reply